taarein aaj sab chhup gayein hain
chaand ko rotey kyun dekhey?
zameen par bhi ashq kinaarey banaatey hain
chamaktey kinaarey, chehre mein jo doob jaatey hain
aaftaab aaj raat nahin aayega, kal bhi nahin
woh chaand ko rotey hue kyun dekhey?
hain dost, chaand-o-aaftaab, lekin itne bhi nahin
tum aaogey is chaand ko dekhney, woh nahin ma'alum
koi apne hi amaanat ko doobtey kyun dekhey?
is jahannum mein qaid saari umr rahengey
jab tak sooraj na jaaga, shab mein rahengey
sotey rahiyo mere aaftaab kirnon ko chhupaakar
apne hi ghar ko jaltey kyun dekhey?
No comments:
Post a Comment