Tuesday, 27 January 2009

Arziyan - Delhi-6

Another masterpiece from the team of Prasoon Joshi and A.R Rahman!



Arziyan

Arziyaan saari main, chahere pe likh ke aayaa huun,
Tum se kya maangu main, tum khud hi samajhlo maula,
Maula maula mere maula.

Maula maula maula mere maula,
Maula maula maula maula,
Daraarein daraarein hain maathe pe maula,
Marammat muqaddar ki kardo maula, mere maula.


Tere dar pe jhuka huun, miTaa huun, banaa huun,
Marammat muqaddar ki kardo maula.


Jo bhi tere dar aayaa, jhukne jo sar aayaa,
Mastiyaan piie sab ko jhuumtaa nazar aaya;
Pyaasein leke aayaa thaa dariyaa woh bhar laayaa,
Nuur ki baarish mein bhiigtaa satar aayaa.


Maula maula maula mere maula,
Maula maula maula maula.
Daraarein daraarein hain maathe pe maula,
Marammat muqaddar ki kardo maula, mere maula.

Jo bhi tere dar aayaa, jhukne jo sar aayaa,
mastiyaan piie sab ko jhuumta nazar aayaa.
Ho ek khushbuu aati thi,
Ho ek khushbuu aati thi, main bhaTaktaa jaataa thaa,
Reshamii si maayaa (?) bhi aur main thaktaa jaataa tham.
Jab teri gali aayaa, sach kabhi nazar aayaa,
Mujh mein hi woh khushbuu thi, jisse tu ne milvaayaa.

Maula maula maula mere maula,
Maula maula maula maula.
Daraarein daraarein hain maathe pe maula,
Marammat muqaddar ki kardo maula, mere maula.

TuuTke bikharnaa mujhko zaruur aataa hai,
Par na ibaadat ka shahuur aataa hai (?).
Sajde mein rehene do, ab kahiin na jaaungaa,
Ab jo tumne Thukraayaa to savar na paaungaa.

Maula maula maula mere maula,
Maula maula maula maula.
Daraarein daraarein hain maathe pe maula,
Marammat muqaddar ki kardo maula, mere maula.

Sar uThaake maine to kitnii khwaahishein ki thi,
Kitne khwaab dekhe the, kitnii koshishein ki thi.
Jab tu ruubaruu aayaa,
Jab tu ruubaruu aaya, nazarein na milaa paayaa,
Sar jhukaake ek pal mein,
Sar jhukaake ek pal mein, maine kyaa nahiin paayaa.


Maula maula maula mere maula,
Maula maula maula maula.

Mora piyaa ghar aayaa mora piyaa ghar aayaa (x6)
Maula maula maula mere maula,
Maula maula maula maula.
Mere maula maula maula maula,
Mere maula.

4 comments:

Anonymous said...

Stupendous lyrics, i wud say.
Jst wondering if u were to pick another favourite song from D-6 ...which one wud it be..

NaBz said...

no Ankur! Don't do this to me! I love all the songssss!! I absolutely looove the Aarti and Masakali and Rehna Tu and Dil Gira Dafatan....

Anonymous said...

:-):-):-)....as expected you adore all of them......honestly speaking fantastic lyrics and superb score to match those lyrics....simply awesome......to the extent that i m plugged :D....
Keep enjoying... :)

Unwinding Hours said...

It's a lovely number.